Yaadein Quotes In Urdu Yaad Quotes -Yaad Thoughts
Yaadein bhi zindagi ka hisa hain jub kisi insan ko khushiyan milti hain tou woh un khushiyon ke samandar mein ghamon ko bhool jata hai. Ye choti choti khushiyan insan ke liye qaus-e-qaza ki tarah hoti hain. Har fikar aur gham se azad ho kar woh ji bhar ke tafreeh karta hai magar jub dukh us ki rah mein hayel hote hain tou usay andar se tor phor kar rakh dete hain. Agar koi insan tamam umar hamare sath rahe, hamari har khushi aur gham mein hamara sath de magar wohi insan yak dam hamara sath chor de tou ye dukh naqabil bardasht ho jata hai.
- Akhir kar yadain hi insan ke paas reh jati hain aur unhi zakhmi yadon ke sahare insan jeena seekh laita hai. Us ki zahiri hansi ke peechay ghamon ka taufan chupa hota hai. Maloom nahin kyoun hamare payare sathi apni yadon ka tohfa paish kar ke humain tanha chor jate hain... Akhir kyoun?
Wife Quotes In Urdu Biwi Aur Tv Mein Farq
Donon mere ghar aik sath aye aur tahaal main donon ke sath hon. Donon ko aksar aik dusre ke samne dekhta hon. Donon hi bohat bolte aur bore karte hain lekin phir bhi donon ki fees ada karni parti hai. Aik ki mahana aur dusre ki salana.
Read more...
Tears Quotes In Urdu Aansoo Quotes
- Ghum is liye nahin hote ke unhain ansuon mein saja kar dusron ke samne paish kar diya jaye. Ye tou dil ke liye makhsoos hote hain aur dil hi mein pheelte aur parwan charhte hain. Jub ghum askhon ki mala ban kar bikharne ki koshish karte hain tou us waqt zamane mein unhain samaitnay wala koi nahin milta kyoun ke ye dunya tou khushiyon kii sathi hai. Us ne kab rote chehron ko hansaya hai aur unhain kab muskurahat di hai.
- Dunya ne hamesha hanstay dilon ko rulaya hai, is liye behtar hai ke insan apne ghamon ko apne dil mein hi chupa kar labon par muskurahat sajaye aur apni zindagi ke din pure kare.
Rainbow Quotes In Urdu Colours Qaus-e-Qaza
- Hamari zindagi apne andar qos-e-qaza ki si rangeeni samoye hue hai. Zindagi ke 7 rang hain, bilkul qos-e-qaza ki tarah... dukh ka rang, khush ka rang, kisi ko pa lainay ka rang, kisi ke bichar jane ka rang, kamyabi ka rang, nakami ka rang aur mohabbat ka rang. Qos-e-qaza falak par us waqt namudar hoti hai, jub barish ne dhoop ka hath thama hua ho aur zindagi ki qos-e-qaza bhi us waqt ronuma hot hai jub zindagi ke 7 rang aik hi waqt mojood hon. Ye shart awal bhi hai aur akhir bhi.
Chahat Quotes In Urdu
- Mujhe november ki dhoop ki tarah mat chaho ke us mein dubo tou tamazat mein naha jao aur us se alag ho tou thandak ko pur pur mein utarta mehsoos karo.
- Mujhe sawan ke badal ki tarah mat chaho ke us ka saya bohat gehra, nas nas mein pyas bujhane wala magar us ka wajood pal mein hawa, pal mein pani ka dheer.
- Mujhe chalti hawa ki tarah mat chaho ke jis ke qayam se dum ghut'ta hai us jis ki teez raftari qadam ukheer deti hai.
- Mujhe thehre hue pani ki tarah mat chaho ke main us mein kanwal ban kar nahin reh sakti.
- Mujhe bas itna chaho ke mujh mein chahe jane ka ehsas jaag uthay.
Barish Quotes In Urdu
- Jis tarah barish khushk zameen ko zinda kar deti hai. Isi tarah sohbat ulma se dil zinda hota hai.
- Barish ka nanha qatra badal se tabka... Jub us ne samandar ki chorai dekhi tou sharminda hua... Aur dil mein kaha keh... Samandar ke samne meri ki haisiyat hai... Is ke hote hue tou main na hone ke bababar hon... Jub us ne apne aap ko haqarat se dekha tou aik seepi ne us ko apne munh mein lay liya... Aur dil aur jaan se us ki parwarish ki... Thore hi dinon mein ye qatra aik qeemti moti ban gya... Aur badshah ke taj ki zeenat bana.
Teacher Quotes In Urdu Teacher's Day Ustad
- Har woh larka jo ustad ki sakhti nahin jheelta. Usay zamane ki sakhtiyan jheelna hoti hain.
Subscribe to:
Posts (Atom)