Yaadein Quotes In Urdu Yaad Quotes -Yaad Thoughts

 
Yaadein bhi zindagi ka hisa hain jub kisi insan ko khushiyan milti hain tou woh un khushiyon ke samandar mein ghamon ko bhool jata hai. Ye choti choti khushiyan insan ke liye qaus-e-qaza ki tarah hoti hain. Har fikar aur gham se azad ho kar woh ji bhar ke tafreeh karta hai magar jub dukh us ki rah mein hayel hote hain tou usay andar se tor phor kar rakh dete hain. Agar koi insan tamam umar hamare sath rahe, hamari har khushi aur gham mein hamara sath de magar wohi insan yak dam hamara sath chor de tou ye dukh naqabil bardasht ho jata hai.

  • Akhir kar yadain hi insan ke paas reh jati hain aur unhi zakhmi yadon ke sahare insan jeena seekh laita hai. Us ki zahiri hansi ke peechay ghamon ka taufan chupa hota hai. Maloom nahin kyoun hamare payare sathi apni yadon ka tohfa paish kar ke humain tanha chor jate hain... Akhir kyoun?

0 comments:

  © Urdu Sayings Hindi Quotes by Us 2013

Back to TOP